Friday, January 8, 2010

shayari's that are never heard before(1st EDITION)

Har khamoshi ka matlab inkaar nahi hota,
Har nakamyabi ka matlab haar nahi hota.
Toh kya huwa agar hum tume na pasake,
Sirf paane ka matlab pyar nahi hota.







Har phool ki ajab kahani hai,
Chup rehna bhi pyar ki nishani hai,
Kahi koi zakhm nahi phir bhi kyu yeh ehsas hai,
Lagta hai dil ka ek tukda aj bhi us ke paas hai.







Mehkhane me jam tut jata hai,
ishq me Dil tut jata hai,
Na jane kya rishta hai in Dono me,
jam tute to ishq yaad Aata hai,
Dil tute to jam yaad Aata hai...





udas nazro me khuwab milenge,
kahi kante to kahi fool milenge.
mere dil ki kitab ko apni nazar se padh ke dekho,
kahi aapki yaad to kahi aap milenge.





Ek kasak dil ki dil mein dabi reh gayi,
zindagi mei aapki kami reh gayi,
itni ulfat k baad bhi woh mujhe na mile,
shayad mere pyaar mei hi kuch kami reh gayi. . .!!!





Mohabbat mein laakhon zakhm khaye humne,
afsos unhe hum par aitbaar nahi...
Mat poocho kya guzarti hai dil par,
jab wo kehte hain unhe humse pyaar nahi.....




hun deewana mai uiska,
jise mai din raat sochta hun,
maaf karna ai khuda muze,
tuzse jyada mai uspar marta hun.




Na jeene ki khushi na marne ka gham,
Bas tumse milne ki dua karte hai hum,
Jeete hain iss aas par k 1 din tum aaoge,
Marte isliye nahi kyuki tum akele reh jaaoge..!!





Aakhen kholu to chehra tumhara ho,
Band karu to sapna tumhara ho,
Maar bhi jau to koi gam nahi,
Agar kafan ke badle achal tumhara ho.







Mere chehre se utho do kafan,
mujhe aadat hai muskurane ki.
meri lash abhi mat jalana,
mujhe umeed hai unke aane ki








Diwangi se kam na thi kuch apni justujo
Hum bewafa jahan me wafa dhondte rahey
Mehromiyon k dor me kin hasraton k sath
Hum pathron k dil me khuda dhondte rahey.

0 comments:


Blogspot Templates by Isnaini Dot Com. Powered by Blogger and Supported by Ralepi.Com - Harley-Davidson Motorcycle