Sunday, January 10, 2010

SHAYARI'S THAT ARE NEVER HEARD BEFORE(2nd EDITION)

ZAALIM TU MUJHE AUR ZAKHM DE,
DIL ABHI BHARA NAHI.
AUR SITAM DHA MUJHPAR,
MAIN ABHI MARA NAHI.



TANHA HAIN MAGAR TERI YAAD MERE PASS HAI,
TU NAHI TOH TERA EHSAAS HI MERE PASS HAI,
SUN SAKTE HAIN DHADKANO KI KAHANI,
ITNA MERA DIL TERE DIL KE PASS HAI.




FIZA PAR TOH ASAR HAWAO KA HOTA HAI,
MOHHABBAT PAR TOH ASAR ADAON KA HOTA HAI,
KOI AISE HI NAHI KISIKA DIWAANA HOTA,
KUCH KASUR TOH NIGAHON KA HOTA HAI.




WAFA KARKE BHI BEWAFAI KA ILZAAM UTHANA THA,
AB MERI ZINDAGI ME BAS GAM KA HI THIKANA THA,
HAMESHA THA MAIN JISKI PYAAR KI PANAHON ME,
AAJ USKI BAHON ME KISI AUR KA THIKANA THA.




TERI YAAD ME HUM LAMHE BITATE HAIN,
DARD-E-DIL LEKAR BHI HUM MUSKURATE HAIN,
AADAT SI HO GAYI HAI HUM KO AISE JEENE KI,
HAR GAM KO KHUSHI SE GALE LAGATE HAIN.




HAR ZAKHM KISI THOKAR KI MEHERBAANI HAI,
MERI ZINDAGI BHI SIRF EK KAHANI HAI,
MITA DETE APNE DARD KO SEENE SE,
PAR KAMBHAQT DARD HI TOH USKI AAKHRI NISHAANI HAI..




SARI HAQEEQATON KO KHWAAB KARKE ,
UMAR BHAR KI KHUSHIYAN KHARAB KARKE,
BADAL GAYA HAI EK SHAKS NA JAANE KYU,
MERI AADATON KO KHARAB KARKE.




KABHI HUM BHI KISI KI JAAN THE,
KISI KE CHEHRE KI MUSKAAN THE,
MAGAR AB USE DEKHKE YEH MEHSOOS HOTA HAI,
KI UNHE SAMAJH NE HUM THODE NAADAN THE.




KITNI JALDI YEH MULAQAT GUZAR JAATI HAI,
PYAAS BKJHTI NAHI AUR BARSAAT GUZAR JAATI HAI,
APNI YAADON SE KEHDO IS TARAH NA SATAYA KARE,
NEEND AATI NAHI AUR RAAT GUZAR JAATI HAI.




NA KOI KISI SE DOOR HOTA HAI,
NA KOI KISI KE KAREEB HOTA HAI,
ZINDAGI KHUD HI NAZDEEK LAA DETI HAI,
JAB KOI KISI KE NASEEB ME HOTA HAI.




SHAAM UDAS THI SUBAH UDAAS THI,
KAFAN ME LIPTI MERI LAASH THI,
AE DUNIYA WAALON MUJHE WAHI DAFNANA,
JAHA MERI AUR USKI PEHLI MULAQAT THI.




ROZ AAYENGE KHWAAB EK HASEEN BANKAR,
CHAHINGE TUMHE HUM JANASHEEN BANKAR,
IS KABIL KAHA KE AAPKA AASMA BAN SAKE,
AAPKE KADAMO ME HUM RAHENGE HUM ZAMEEN BANKAR.

0 comments:


Blogspot Templates by Isnaini Dot Com. Powered by Blogger and Supported by Ralepi.Com - Harley-Davidson Motorcycle